Standard (EADGBE)

Intro

Chorus

jaane kaise shab dhali, jaane kaise dil khila

jaane kaise kab kahaan, chal pada yeh silsila

meri aankhon ko yeh kaisa manjar mila

tere har naksh mein bas khuda hi khuda

tera chehra sanam ik rubaayi si hai |

| x2

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai |

x4

(interlude)

Verse

betaabiyo ki shaamo sehar se

na tha main waakib dard-e-jigar se

gujra nahi tha main toh kabhi bhi

pyaar ki dilkash raahegujar se

deewaanagi ki yeh intehaan hai

har chehre mein chehra tera hai

saari duniya teri parchaayi si hai

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai

tera chehra sanam ik rubaayi si hai

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai

Chorus

jaane kaise shab dhali, jaane kaise dil khila

jaane kaise kab kahaan, chal pada yeh silsila

[Rest of the chords are as above]

teri kashish ka jaadu ajab hai

har waqt mujhko teri talab hai

yuun hi nahi main besudh huva hoon

iss pyaas ka toh koi sabab hai

tere siva na abb koi armaan

abb jindagi hai tujhse meri

bin tere har jagah tanhaayi si hai

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai

tera chehra sanam ik rubaayi si hai

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai

jaane kaise shab dhali, jaane kaise dil khila

jaane kaise kab kahaan, chal pada yeh silsila

meri aankhon ko yeh kaisa manjar mila

tere har naksh mein bas khuda hi khuda

(tera chehra sanam ik rubaayi si hai

mere dil jism-o-jaan pe tu chaayi si hai) x 2