Standard (EADGBE)

Aye zindagi tu hi bata

Khoya hai jo paaun kahaan?

Har bhool ko maafi mile

Roothe palo'n ko main laaun manaa?

Naa jaane kitni hansti aankhon ke

Saare sapne chheen liye maine

Saaye hain chheene kitne saro'n se

Aur kitne ghar phoonk diye maine

Naa jaane kitne rishton ki dor main kaat ke aaya hoon

Itni baatein bhoolun main kaise?

Kaise main khud ko apnaaun...?

Aye zindagi tu hi bataa

Khoya hai jo paaun kahaan?

Har bhool ko maafi mile

Roothe palon ko main laaun manaa

Hey Hey

Ho aankhein bhi khuli, maaloom tha sab

Sab kuch hote dekh raha tha main

Phir bhi naa kuch bhi roka maine

Jaane kis lehar baha tha maine

Kaash ye sab ik khwaab hi ho

Aankh khule to sab theek mile

Bojh ye bann ke jaaye utar

Dil ye mera phir se khile

Aye zindagi tu hi bata

Khoya hai jo paaun kahaan?

Har bhool ko maafi mile

Roothe palon ko main laaun manaa