Ad loading…

Standard (EADGBE)

Kyun, meri raahein

 mujhse pooche , ghar kahan hai

kyun, mujhse aake

 dastak pooche, dar kahan hai

Rahein aisi jinki manzil hi nahin

 Dhoondo mujhe ab mein rehta hoon wahin

 Dil hai kahin, aur dhadkan hai kahin

 Sansein hain magar ,kyun zinda main nahin

Reth bani ,hathon se yun beh gayi

 taqdeer meri ,bikhri har jagah

 kaise likhonn phir se nayi daastan

 gam ki siyahi dikhti hai kahan

 ohoo aahen jo suni hai meri thi rajaa

rehta hun kyun khud se hi khafa

aisi bhi hui thi mujhse kya khata

tune jo mujhe di jeene ki sajaa

hmmmmmm...........................

bandeh tere maathen pe hain jo khiche

bas chand lakeero jitna hai jahaan

aasun mere mujhko mitate rahen

rab ka hukum naa mit ta hai yahan

Rahein aisi jinki manzil hi nahin

 Dhoondo mujhe ab mein rehta hoon wahin

 Dil hai kahin, aur dhadkan hai kahin

 Sansein hain magar ,kyun zinda main nahin

Kyun, main jagoon

aur wo sapne bun raha hai

kyun mera rab yun

aankhein khole so raha hai