Standard (EADGBE)

Tere bin main dekhun na subah

Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin ho chalna bhi saza

Ki raahon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin main dekhun na subah

Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin ho chalna bhi saza

Ki raahon se abhi, yeh vaada kar liya

Suno yehi jazbaat hai mere

Yeh dil kahe ki khwaishein jeenay ki saath hain tere

Tere bin ho saanson se juda

Hawaaon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin mein dekhun na subah

Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya

Tu woh zameen jis pe maine toh apni yeh duniya basaayi hai

Main bin tere ab kaha jaunga

Tu aasra hai mera, main toh jeeta hoon tere bharose pe

Main bin tere ab na jee paunga

Meri toh yeh har baat tujhse hai

Tuhi meri hai dhoop aur meri barsaat tujhse hai

Tere bin na barse yeh ghata

Ghataaon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin mein dekhun na subah

Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya

Jo haath mein ho tera haath toh yeh lakeerein dhadakti hain

Tu ho judaa sab thama sa lagey

Jo tu mere paas hai toh yakeen apne hone pe hota hai

Tu ho judaa sab guma sa lagey

Haan tu meri aadat mein shaamil hai

Mere liye main sacch kahoon tu ibadaat ke kabil hai

Tere bin na puri ho dua

Duaon se abhi, yeh vaada kar liya

Tere bin mein dekhun na subah

Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya

Hope u ll like these chords!!

:)